1Miscellaneous Questions
Q)Salam 1.farz namaz mei shuru ki 2 raqat bhari or baki khali q rhti hn? 2.isha namaz mei vitier namaz mei gr dua-e-qunoot gar yaad na ho to kya uski jagah kuch or padha ja sakta hy? suna hy ki uski jagah 3baar surah ikhlas padhi ja sakti hy? 3. kya Huzur Pak(S.a.w) k chahcha Hzrat abu talib imaan laye they? 4.hadees mei kuch aayat ya koi bhi amal namaz baad k liye subah shaam ka hota hy for ex 10 martaba durood-shareef payare nabi ki shafa't hasil krne k liye subah shaam padhe ya surah hshr ki 3 aytein pahei subah-sham.. to mera sawal hy ki yahanpe sham ki murad kab se hy?? kya asr baad ya phir maghrib ya isha baad??
A)(1) Bukhari ke Hadith no. 770 and 776 me hai ki Allah ke Rasool (S.A.W.) ka yahi tareeqa tha. (2)Agar Dua-e-Qunoot yad na ho to, us ki jagah yeh dua padhe: "Rabbana Aatina Fid Duniya Hasanatan wa fil aakhirati hasanatan wa qina aazaban naar" agar yeh bhi yaad na ho to dua-e-qunoot yaad hone tak yeh dua padhe: "Allahumma-gh-firli" teen baar, ya phir yeh padhe: "ya rabbi" teen baar. (Raddul Mukhtaar: 2/443) Dua-e-Qunoot ke badle surah ikhlaas padhna kahin bhi sabit nahi hai. (fatawa darul uloom deoband:4/158) (3)woh eimaan nahi laye the. (4) Maghrib baad Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
2Saalgirah
Q)As Salam O Alaikum Wr Wb Mera Sawal Hai Ki kya Islam Mei Salgirah Manaana Mana Hai?? Salgirah Ki Mubarak-Baad Dena Mana Hai?? YA Salgirah Ki Dawat Apne Ghar Walaon'n K Saath Manaana (Get Together) Mana Hai??
A)Saalgirah Gairon ka tareeqa hai, isko manana, iski mubarakbaad dena aur iski dawat karna, khana aur khilana sab mana hai. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
3Shalwar ka takhne se nicha hona
Q)Assalam alaikum, mera sawal ye hai ke payjama ka takhne se nicha pehanna kaisa hai? kya ye haram hai ya makrooh tehreemi hai? please daleel ke sath jald se jald explain kre...
A)Ghamad me paijama ko takhnon ke neeche karna makrooh-tehreemi hai, Bukhari Shareef me hai ke jo shakhs apne Izaar (Pijama, wagairah) ko ghamad ki wajah se takhnon ke neeche latkayega to Allah uski taraf nazar karam bhi na farmayega.(Bukhari: Hadith No. 5783) Aur agar aisi niyat nahi hai to makrooh tanzeehi hai, beherhaal, ehtiyaat behtar hai. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
4Baachcho me gape ke mutalliq
Q)Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barkatuhu mera sawal ye hai ki kya hum log ya musalman log apne 2 bachcho ke bich umar ka farq apni sahuliyat se rakh sakte hai ya sehat ke hisab se
A)Sirf 2 soorton me bachchon ke darmiyaan farq karne ki ijazat hai: (1) aurat ki sehat par bura asar parne ka darr ho jis ke bare me koi motabar Doctor mashwara de. (2) Bachchon ko munasib miqdar me Maan ka doodh na milne ka Darr ho. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
5Want to know
Q)Asslam walaikum wa rahmatullahi wa barkatuhu..... Mera sawal hai k AAP SALLALLAHU AALAIHI WASALLAM..NAMAJ me kya padte the jb k QURAN E PAAK NAJIL hona shuru tha.....
A)Quran nazil hone se pehle namaz is haet (Halat) me nahi thi jisme Quran nazil hone ke baad hui hai. Salaat thi, Salaat ka matlab dua hota hai, aur pehle log qayaam aur sajda karte the, jisme woh sirf dua aur isteghfaar karte the.
6Movie me kisi nabi ya sahaba ko dikhna
Q)Assalam alaikum, mera sawal ye hai ke aajkal kuch islamic history per movie ban rhi hai jisme sahaba ko dikhaya gya hai, kya aisi movie dekhna jaez hai? aur kya agar kisi movie me kisi nabi (yusuf a.s, moosa a.s, etc) ko dikhya jae to uska dikhna jaez hoga? plz give me answer with daleel because some knowlegable person says that it is jaez.
A)Movie me SAHABAH aur AMBIYA ki jo tasweer pesh ki jati hai woh unke murtabe aur taqaddus se bahut ghatiya hai, actor bhi kafir, fasiq aur fajir hote hain. Is tarah ki Movie se unka status neecha hota hai, aur hum usko dekh kar gunehgaar hote hain, aur ye AZMAT-E-SAHABAH ke khilaaf hai, is liye EMAANI taqaza hai ki aesi cheezon se mukammal ijtinaab kiya jaye. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
7L.ic rcm
Q)L.I.C aur R.C.M me job krna kaisa he jabke usme soodi kaam hota he..
A)LIC, RCM jaisi company me kaam karna jaez nahi hai. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
8Sharyi masla
Q)Assalamu alykum warehmatullahi wabarkatu..... mera sawal yahai ke agar kisi ladki ki lash nadi me mili ho aur uske paas koyi aysi chez nahi hai jis ke zarye ye pata chle ke ye hindu hai ya musalman our aas paas ke loog bhi usko nahi jante our kisi bhi tariqe se ye pata nahi chala ke wo hindu hai ya musalman ..to isko ab dafnaya jaye ga ya jalaya jayega ..meherbani farma kar is masle ka sharye hukum batayen.,, [khuda hafiz]
A)Asalamualaikum wa Rahmatullah wa Barkatuhu Answer: Agar libaas wagairah se musalmaan ya gair-musalmaan hone ka andaza ho jaye, tab to is ke mutabiq amal kiya jaye, matlab agar musalman ki alamat ho to gusul de kar namaz bhi padhi jaye aur agar kafir ki alamat ho to is ko bagair namaz ke dafan kar diya jaye. Agar kisi tarah bhi pata na chal pa raha hai ke musalman ya gair musalman hai to aisi surat me dusre area se andaza kiya jaye ga. jahan laash dastiyaab hoyi hai, agar is ilaqa me musalman area ho to musalman mana jaye ga, aur agar gair-muslim area hai to gair-muslim, jo cheez ziyada qareeb ho isi ke mutabiq amal kiya jayega. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
9Director
Q)WHO IS THE DIRECTOR OF THIS CENTER AT A TIME?
A)Asalamualaikum wa Rahmatullah wa Barkatuhu Maulana Bilal Abdul Hai Hasani Nadwi is the current director of the center and Dare Arafat. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
10NAMAZ
Q)AS SALAMU ALAIKUM.Isha ki namaz k bad jagna makruh h.pr hm ldkiyo or aurato ko to ghr k kam krne pdhte h to hm awwal waqt pr namaz ada kre ya sare kam khtm kr k sone se phle namaz pdh kr soye.or ek sawal, hame agar koi JAZAKALLAH Kahe to hm uska jawab kese de?
A)Asalamualaikum wa Rahmatullah wa Barkatuhu Answer: Isha ke baad jald sona sunnat hai. Is silsile me Tirmizi Shareef me Hadith aayee hai magar Ulama ne likha hai ke Ilmi Majalis aur zaroori kaam kaj ke liye rukhsat hai. Makrooh jab hai jab ke aadmi kahaniyon, fuzool baton me apna waqt barbaad kare. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
11GHAIR MUQALLID
Q)GHAIR MUQALLID & HAQEEQAT E ALBANI PAR KUCH URDU BOOKS KE NAAM BATAIYE
A)Asalamualaikum wa Rahmatullah wa Barkatuhu Answer: Ghair Muqallid par yeh kitaab bahut mufeed hai. Hamari Website me "Sayyid Ahmad Shaheed Academy" me yeh kitab mutala farmayen: "Maslaki Ikhtelafaat aur Raah-e-Etedaal" Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
12Hijab
Q)Salam mera ek sawal aur hai ki 1.Islam mei aoratoan(ladies) ko baloan(hair)k liye khaas hijab karna kyoon lazim hai?? iske peechey kya logic hai ki baaloan(hair) ko dhaankna kyun zaroori hai?
A)Asalamualaikum wa Rahmatullah wa Barkatuhu Jis tarah aurton ke jism ke dusre parts satar me shamil hain, isi tarah unke balon ke bhi parda zaroori hai, baal aurat ki khoobsurti aur us ke Husn me dakhil hai, aur jis tarah uske jism ke dusre parts attractive hote hain aur unke taraf attraction hota hai isi tarah unke balon ka masla bhi hai. is liye unka hijaab zaroori hai. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
1 2 3 4 5 6 7 8

Why Hijab in Islam is necessary