1Sadqa
Q)Salam Sir Main ne suna hai dukhoon aur museebtoon se bachne ke lye sadqa karna chahye. Mera sawal yeh hai keh kia sadqka ki raqam masjid mein di ja sakti hai? please mujhe answer zaroor dijye ga . Insan jab koi bura khwab dekhta hai ya us ke dil mein bure khyalat atey hain to kia museebtoon dukhoon aur preshanion ke liye sadqa ki raqam masjid mein di ja sakti hai. Jo masjid ke bahir chanda wala box hota hai kia yeh rakam us mein dal dein?
A)Ahadeeth me muta`adid jagah aya hai ki parehani aur musibat ke waqt sadqa ki madad len, kyunki sadqa har pareshaani aur musibat ko door kar deti hai. Aap ke sawal ke mutabiq jawab yeh hai ki, Sadqa ki raqam masjid me nahi lagai ja sakti hai, yeh gareebon ka haq hota hai. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Centern in low voice at such places because recitation in low voice does not contain any danger of impudence, and recitation in loud voice is Makrooh. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center Dar-e-Arafat, Takiya Kalan, Raebareli (U.P.)229001
2Dawat
Q)Agar koe left hand se pani pi raha ho tu kya us ko pani pete waqt he tokna aur us k hand se pull karlena bottle sahe hae jab ki wa bottle se pi raha hae
A)Bain haath se pani pina sunnat ke khilaaf hai, aur agar koi aisa kar raha hai to behtar tareeqa par usko toka jaye, hath se pani kheench lene se badmazgi paida ho sakti hai., aur kisi musalmaan ko takleef dena gunaah hai. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
3Tasawwuf
Q)Who was hazrat moulana Shah FazlurRahman Ganj Moradabadi (Rh) ?
A)Hazrat Maulana Fazur Rahman sahab (Rh) Hadith me bade buland paya, Bade aali sanad, taweelul Umar aur apne zamane ke sahib-e-Muqamaat wa karamaat auliya Allah me se the. 1208 H me Mallawan me paida hue the. Shah Abdul Aziz Muhaddis Dahalvi (Rh) aur dusre us zamane ke Kibaar Ulama se taleem hasil ki. Hazrat Maulana Shah Muhammad Afaaq Sb. se bait ki aur unhi se Ijazat wa Khilafat se Musharraf hue. Please Check out the book by Hazrat Maulana Abul Hasan ALi Nadwi (Rh): Tazkira Hazrat Maulana Fazur Rahman Ganj Muradabadi Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
4Hajj E Badal
Q)Salam o alaykum kya Hajj e badal sirf wahi insaan kar sakta hai jo apna hajj kar chuka hai?? ya koi aur bhi kar sakta hai??jaise beta ya beti jiska apna hajj nahi hua hai lekin uska irada apna haj karne ka hai. baraye meharbani iska jawab mujhe Quran aur hadees ki roshni mei dei ki Quran mei kahan kis surah mei iska ziqr hai aur kiss hadees mein iska khualsa hai. mera doosra sawal hai ki aulaad apne parents ya apne doosre rishtoan k liye aisal e sawab ki niyat se paisa,samaan ya khana waghaira nikalte ya dete hain to iske liye kya unke naam se sadqe ki niyat ka paisa us aisal e sawwb k kaam mei lgaya ja sakta hai??ya sadqe ka paisa alaga aur aesal e sawab k liye alag se paisa lagaya jana chahiye?? mera 3rd question ki masjid ki tameer ya uske kaamoan k liye hum kya-kya niyat kar k piasa de sakte hain?for ex:- jaise him ZAQAAT ka paisa masjid ki tameer k liye nahi de sakte.. tou kya sadqe ka paisa..ya sirf aesal e sawaab ki niyat k liye hi de sakte hain?? aapke jawab ka muntazir ali khan mere in emails pe jabad dene ki meharbani karein alikhan76@rediffmail.com just4u800@yahoo.com
A)(1) Jis Shaks par Hajj farz ho usko chahiye ko woh khud Hajj kar le, aur Hajj-e-Badal me bhi Sahih Tareeqa ye hai ke jo Hajj kar chuka ho as se Hajj karwaya jaye. Jis par Hajj Farz ho chuka ho agar woh Hajj-e-Badal kare tab bhi Ahnaaf ke Yahan Hajj-e-Badal Karahat ke sath Durust ho jayega. Hadith: "Qabila Banu Khas`am me se ek Khatoon Rasoolullah (S.A.W.) ke paas aayee, Kaha Ye Rasoolullah (S.A.W.)! Mere walid par Hajj Farz ho chuka hai aur woh bahut budhe hain, Hajj karne ki Taqat nahi rakhte hain, to kiya main un ki taraf se hajj-e-badal kar sakti hun. Rasoolullah (S.A.W.) ne irshaad farmaya: aap unki taraf se hajj kar sakti hain". (Tirmizi:928) (2) Sadqa ke paise ko Esaal-e-Sawab me lagaya ja sakta hai, sadqa aur esaal-e-sawab dono alag alag nahi hain, saman, khana, etc. sab kuch sadqa kar sakte hain, is ke liye kisi makhsoos tareeqa ko ikhtiyaar karna durust nahi hai. Esaal-e-sawab ka sabse behtar tareeqa sadqa hai, kyunki sadqa se esaal-e-sawab ke durust hone par ehle Sunnah wal Jama`at ka Ittefaaq hai (3) Masjid ki Tameer me jo bhi kaam karwana chahen pehle niyat karle. Esaal-e-sawab ka sabse behtar tareeqa ye hai ki Marhoom ke naam par "SADQA JARIYA" kiya jaye. For Ex. Masjid ya Madrasa tameer karwa dena, Pani wagairah na kahen Nazm kar dena, etc. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
5Tasawwuf
Q)Who are the khalifa of Ali Miyan Nadwi (Rh) ?
A)Hazrat Maulana Ali Miyan (Rh) ke 40 se zyada Khalifa hain. Un me Hazrat maulana Sayyid Mohammad Rabey Hasani Nadwi ko Jan nasheeni ka sharf hasil hai. Un ke ilawa marhoomeen me Hazrat Maulana Abdul Rasheed Nomani(Rh) (Pakistan), Maulana Mufti AbdulAziz Sb. Raipuri(Rh), Maulana Abdul Kareem Parekh(Rh), Mumtaz hain. Maujooda Khulafa me Hazrat Maulana Sayyid Mohammad Rabey Hasani Nadwi ke ilawa Hazrat Maulana Sayyid Abdullah Hasani Nadwi (Lecturer of Hadith, Darul Uloom Nadwatul Ulama). Tableeghi Jamaat ke Zimmedaraan maulana Zubairul Hasan Sb., maulana Saad Sb., Maulana Ahmad Laat Sb. Egypt ke Shaikh Sulaiman, Korea ke Shaikh Abdul Wahhab, Bangladesh ke Umar Ali Sb. aor Bihar ke Begusarai ke Dr. Muhiuddin Talib aur Dr. Ebadur Rahman Neshaat khaas taur par Qabil zikr hain. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
6IHRAM
Q)I am staying near jeddah after mekat, is it farz to wear IHRAM to go for TAWAF a KABA`A
A)It is not necessary to wear Ihraam for Tawaf-e-Kabaa, But if, you want to enter Masjid-e-Haraam for Hajj or Umrah, then you will have to wear Ihraam from your residence. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
7Zakat
Q)Asslamualikum wm wb Dear Sir, I would like to ask regarding "Zakat".I just started working 1year back as a medical Dr. Am I obliged to contribute Zakat? If so,I would like to know how to calculate and upon what kind of properties to calculate. I have a car which I bought in loan scheme where I have to pay specific amount to the bank every month. Kindly let me know that is it necessary to contribute Zakat upon that car and how to calculate if eligible. Moreover,I would like to know that Zakat can be contributed any time or only during the month of Ramadan. Thank you and looking forward to your reply soon. Yours Sincerely, Twahir
A)Zakaat is obligatory after completing one full year, and it is obligatory on the person who is the owner of 612.36 grams of silver or 87.48 grams of gold or balance of rupees as much as silver or gold or combined, then he will be entitled to pay Zakaat. The year will be calculated according to lunar eclipse (Arabic calendar) rather than solar eclipse (english calendar). Ramadhan is not necessary to pay Zakaat. Car for personal use is not included in the materials entitled for Zakaat. Zakaat is obligatory on the person who is mentally healthy and attained the age of puberty; entitled for paying zakaat; passing one complete year on the materials entitled for paying zakaat; materials entitled for paying zakaat should be free from loan or debts. Materials which are for personal use are not entitled for paying zakaat, for example: residential house, personal clothes, modes of transportation like car, equipments of factory or for farming and domestic furniture. Except ornaments. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
8Chand Sawalaat
Q)Asalamualaikum wa rahmatullahi wabarakatuhu oumeed kai aap log theek ho. mere ko kuch sawalaat kai jabaat chai barai mehbani jaldi dai 1.JUMMA MAI KUL KITNI RAKAAT HAI AUR KIA JUMMA SAI PEH LAI KOI SUNNAT HAI TARTEEB SAI WAZIH KARE? 2. ZAWALE SHAMS KAI TIME TAHIYAATULMASJID PAR SAK TAI HAI YA NAHI YA SIREF MAKROUH HAI? 3 .AGER 2 LOG JAMAT KAI SAAT NAMAAZ ADA KAR RA HAI HO TU KIA MUQTADI KO IMAM KAI BARABER THER NA CHAI YA THORA SA PECHAI HET KAR ? PLZ DALEEL DO TU MEHBANI. KIUN KAI 1 SAHEB KAH RA HAI HAI KI IMAMA KAI BARABER THER NA CHAI ALLAH HAFIZ
A)Asalamualaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu Answers to your Questions: Jumah ki namaz ki tarteeb is tarah hain: 4 rakat sunnah; 2 rakat farz; 4 rakat sunnah; 2 rakat sunnah. (Ref: fatawa Tatarkhaniya - 2/300) Agar sawal ka "Zawalush Shams" se matlab us waqt ka hai jab suraj aasmaan ke beech me hota hai jisko Hadith me "Istawaush Shams" kaha gaya hai to us waqt na farz namaz ada ki ja sakti hai na nafil. Allah ke Rasool ne saaf tawr par as se mana farmaya hai. (Muslim - 831) Agar do log namaz ada kar rahe hon aur unme se ek imam ho to dono barabar khade honge. (Albidaio Was Sanaio - 1/391) Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
9Sajda shuker
Q)Sajda shuker kai lia wazu zarori hai kia nahi aur qibla ru ho na bhi sharat hai kia?
A)Sajda-e-Shukr ke liye Taharat zaroori hai yani ghusul kiye hue ho, aur ba wazu ho, isi tarah qibla ru hona bhi zaroori hai. (Reference: Hindiya-1/136; Kitabul Fatawa-2/451,459; Shami-1/577)
1 2 3 4 5 6 7 8

Who are the khalifa of Ali Miyan Nadwi ? Hazrat maulana Sayyid Mohammad Rabey Hasani Nadwi