Question And Answer

1Allahake 99 name
Q)Assalamualaikum! Hazart ji last time mera sawal yeh tha ki Allahake 99 name masjid main kibla rukh diwar par lagana sahi hai (Marble/ girnate / glass / oilpaint / radium ) diwar par lagna sahi hai hawale se jawab ki guzarish Agar hindustan main kisi masjid main hai plz foto (whatsapp) par bhajeAssalamualaikum! Hazart ji last time mera sawal yeh tha ki Allahake 99 name masjid main kibla rukh diwar par lagana sahi hai (Marble/ girnate / glass / oilpaint / radium ) diwar par lagna sahi hai hawale se jawab ki guzarish Agar hindustan main kisi masjid main hai plz foto (whatsapp) par bhaje
A)Takalluf aur Ifraat aur tafreet se door reh kar pathar tarashwa kar lagwane me haraj nahi hai, kuch masjidon me Qurani Ayaat lagayi gayi hain aur kuch me Kalima Tayiba aur kahin Allah ka naam da’ein taraf (right side), aur ba’ein taraf (left side) Rasoolullah ka naam lagate hain, Makkah aur Madinah Munawwarah ke Haram me bhi aap dekh sakte hain. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
2DAROOD PAAK
Q)Bismillahir Rahmanir Raheem. Asalamualaikum wa Rahmatullah wa Barkatuhu! Jnab e Walla Boht boht shukrya ap k jawab ka. mager ek zimini sawal hay k main nay boht pehlay kisis kitaab jis ka mjhy naam bhool gya hay main perha k jb AP SAL ALLAH HO ALAIH WA ALL HI WSLAM nay ye c bataya to Janb OMER R.A nay afsoourdgi ka izhaar kia aor Pooochnay per Arz ki Ya Rasool Allah AP aor APKI ALL k lay to ye aa gaya hamary lay kia? iss per AP KAREEM AAQA nay kuch Irshad fermya jo main bhool gya hn kafi arsa guzer janay k i waja say. Main ager Apny Sawal ko mukhtisir Arz keroun to wo ye hay k jb Ap Sal Allah Ho Alaih Wa All hi Wslam nay Apny aor All k Elwa kissi per Darood o slamm Bhaijnay k Nai Fermya to hum kuy All k elwa Ashaab, Azwaj, zuriat aor boht say aor bhi Mozaiz Rishotoun ko shamil ker laity hain. ??? TAfseeli jawab day ker Tasli fermayay SHUKRYA
A)Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke ehle bait yani azwaaje mutahharaat, aulaad aur nawase nawasiyaan, Sahaba aur sahabiyaat (Rdh) darja ba darja sab dakhil hain. Aam taur par, woh sare musalmaan ehle bait me dakhil hain jo aapke tareeqe par qayem rahe hain. Misaal ke taur par Surah Baqarah:49, Surah Aale Imran:33. Quran Majeed me “Aal” ka matlab ek tarah se special connection rehne ke bina par hai, chahe ye zati ta’alluq ho, chahe rishtedaari aur chahe woh aqeeda aur amal ki taraf se ho. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
3Musafir ki Namaz
Q)Assalamoalykum Kya farmate hai ulema ikram is masale me… Ki zaid ka madarsa uske ghar se 80km hai, Aur shahar ki abadi ke baad agar dekha jaye to 70km hai..aur chuki madarsa bhi shahar ke bilkul andar hai?? Is surat m jab zaid 14 din ki niyat se madrasa jayega to kya wo musafir hogaya namaz qasr karega ya wo muqeem hoga aur namaz m itmam karega.Note:Ghar se madarse tak ki doori 78km se zayada hai agar dono musafat ko abadi se bahar dekhenge to y doori 70km se bhi kam hojayegii?
A)Jahan se sheher khatam hota ho wahan se 48 mile ki masafat shumaar hogi, yahi aksar Ulama ki ra’ye hai. (Fiqh Academy ke faisale:88) Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
4Janwar ki Nasbandi
Q)Mera pass pala hua billa raat bhar chillata hai doctor kehte hai uski nasbandi karege to woh nahi chilayega kya nasbandi jaanwar ki kara sakte hai haram ya gunah Hai kya?
A)Is billa ko azad kar den aur dusra hasil kar len aur is ke siwa koi dusra rasta na ho kara lene me koi haraj nahi. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
5Lawaris Laash ki pehchan
Q)As sallam waalaikum agar kisi larki aurat ki lawaris laash mile toh kis tarah pata chalega woh kaun hai muslim hai ya gair muslim?
A)Agar libas wagairah se musalaman ya gair-musalaman hone ka andaza ho jaye to uske mutabiq amal kiya jaye. Agar musalman ki alamat ho to ghusl de kar namaze janazah padhayi jaye. Agar kafir ki alamat ho to bagair namaz ke dafan kar diya jaye. Agar ksiis tarah se bhi pata nahi chal raha ho to, aisi surah me us ilaqe se andaza kiya jayega jahan laash mili hai, agar woh ilaqa musalmaano ka ho to musalmaan mana jayega, aur agar gair-musalmaan ilaqa ho to gair-muslim, jo cheez ziyada qareeb ho usi ke mutabiq amal kiya jayega. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
6Isha ki Char rakat Farz hai
Q)as-salamlaikum! yak gair mukalid sai hama bahas huwa tha wo kah raha tha kee issa kee namaz sirf 7 rekat hai app hamai hadees kee rosni mai batayai mai makkah mai rahta hoon aur 5 namaz haram mai adaa karnai ka kosis karta hoon yahha per sab gair muqallid hai?
A)Isha me sirf chaar rak’at farz hain. Isha ki farz namaz se pehle chaar rak’at sunate gair-mu’akada, farz ke baad do rak’at sunnate mu’akada, aur do nafil, phir witr ki teen rak’aten aur uske baad do rak’aten nafil. Ab koi agar sirf farz, wajib aur sunnate mu’akada jode to 9 rak’aten batayega. Sunnate Mu’akada hatade to woh 7 batayega aur agar sunnaton ke sath gair-mu’akada sunnaten bhi jod le to woh 17 (1) Qiayaamul Lail lil mirwazi: 85 (2) Sunan Abi Dawood, bab fi salatil lail: 197/1 (3) Sharhu ma’anil Asaar, Babul Witr: 200/1 (4) Tirmizi, Babu Ma Ja’a La Witrani Fi Lailatin: 108/1 (5) Sunan Ibn Majah, babu ma ja’a fi rak’ataine fil witr jalisan: 83/1 (6) Asaarus Sunan: Hadith No. 682 Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
7Dawa ka istemal mahwari rokne ke liye
Q)As salamualaikum....main or meri wife umrah kerne jaa rahe hain.magar meri wife bohat pareshan hain k oss abhi tak haiz nahi howa hain .....ab hamare paas sirf 10 din hi hain jaane k liye.....plz hamaye bataye k kiya kerna chahiye jiss se wife ko haiz shuroo ho jaye.yaa umrah k halat me agar ho jaye to hame kiya kerna chaiye..kiya oss ka umrah kabool hoga?
A)Dawa ka istemaal karen jisse mahwari ko rokne ke liye aati hai, aur Umrah ki tayyari karen.
8Topi ki Sunnat
Q)Agar Koi Shakhs topi ko sunnat hi nahi manta aur sar khol kar namaz parhta hai to kya uske peechay namaaz ho jayegi. Kuch log topi ko "culture" maantay hai, unka kehna hai ki sar dakh kar namaaz parhnay ka hukm kaheen nahi aaya. Aisay shakhs ke peechay kya namaz ho jayegi?
A)Aise shakhs ke peeche namaz ho jati hai, albatta behtar nahi. Sar dhak kar namaz ada karna chahiye. Hadithon me iska suboot milta hai ke Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) amama ke niche topi lagate the, sar khula nahi rakhte the.
9Talaq aur Bacho ki parwarish
Q)Assalamoalykum! Hamare shahar m ek khatoon hai jinka nikah 13 saal pahle ek shaks se hua jisse 1 ladka jiski umar 10 saal hai aur ladki jiski umar12 saal hai paida hue. Khatoon ko kuch aasebi asar hone ki wajah se unke shauhar n khatoon ke bhai ko bulaya aur unke sath unko unke mayke bhej diya. Kai din baad ek saada lifafa registry se bheja uske baad mahar ki raqam bheji. Aur teesri baar ek registry bheji jisko padhe bina khatoon ne wapas kar diyaa. Us shaks ka kahna hai ke maine apni biwi ko talaaq de diya hai aur na bachcho de us khatoon ki baat karata hai aur na hi us khatoon se baat karta hai. Question 1. aurat ne lafze talaq na suna na likha hua padha to kya talaq Question2. Ayse shaks ke kahne ka aybar kiya jayegaa?? Question3. Mazkoor masale ka koi sharai hal hai to bataye?? Question4. Agar talaq waqe hogai to wo bachche kiske paas rahengee??? Question5. Khatoon bilkul tanha hai na baap hai na maa aur bhaiyo ne bhi haath kheech liya hai..ayse m wo khatoon kya kareee???
A)Talaq waqe ho gayi. Shauhar agar keh raha hai to uska etbaar kiya jayega.Shauhar ne talaaq di hai to ye bhi maloom karna zaroori hai ki kitni talaaq di hai. Agar 1-2 talaqen di hain to ruju (wapsi) kar sakta hai.3 talaaqon ke baad ruju nahi hai. Bache ab is umar me baap ke paas hi rahenge. Is khatoon ko kisi aur mard se iddat guzaarne ke baad nikah karne ka hukm hai. 3 talaaq agar nahi hui hai to samjha bujha kar wapsi ki surat nikalni chahiye. Kyunki is khatoon ka koi nahi hai, is liye iski kifaalat uske bhaiyon par hai. Agar bhai na mane to dusre unko mukallaf karen, warna gunah me sab shamil honge.
10Taawiz
Q)Kya hadis sharif me tabis karna haram hai?
A)Taweezon me agar Ayaten likhi jayen to Quran Majeed yaqeenan shifa hai, is me koi haraj nahi. Albatta ehteraam is ka rehna chahiye, aur agar koi khilaafe shariyat cheez ho to na-jaez hai.
1 2 3 4 5 6 7 8

Ask any Islamic Question