1Rozi
Q)Meri roozi ghati hai is ka islam wajah aur kaise barhaya jaye koi dua koi tareeka?
A)Rozi kyun ghat rahi hai, iske asbaab par aap khud gaur karen kyunki kisi musalmaan ki niyat par hamla nahi kiya ja sakta, albatta rozi ka ghatna kabhi Allah ki yaad se ghaflat aur Ahkaam-e-Ilahi se laparwahi ki bunyaad par hota hai. (Surah Taha:124) Aur kabhi aazmaesh hoti hai, Allah ki taraf se aur sabr karne walon ko bhar bhar kar diya jata hai. (Surah baqarah:155) Quran Kareem me maal ki ziyadati ka zariya Isteghfaar ki kasrat ko bataya gaya hai, Aap Isteghfaar ki kasrat karen, Allah aap ki rozi badha dega, Is par bharoosa rakhen. (Surah Nooh:11-12) Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
2Bank Job
Q)Assalamualikum kya bank me job karna jayaz he agar nahi to kis liye?
A)Bank ki aisi naukri jis me soodi mamlaat likhne padte hon ya unse wasta padta ho durust nahi hai, is liye ke Allah ke Rasool (Sallalahu Alaihi Wasallam) ne aise admi ko sirf mal'oon hi qarar nahi diya balke use soodkhoron se mushabeh qarar diya hai. (Muslim, Kitabul Buyu) Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
3Zakat
Q)Mera bhanja university me admit hey aur aagey padhna chahta hey, mere behnoi ki koi job nahi hey aur bhanje ka bhi kamai ka koi zarya nahi hey (woh student hey) tu kia mey zakat ki raqam me se us ke taleem ke ikhrajat ada kar sakta hun.
A)Agar aapne Zakaat ki raqam se taleem ke ikhrajaat khud ada kiye to aap ki zakaat ada na hogi, is liye zakaat ke liye Tamleek (Malik banana) shart hai, is ka tareeqa yeh hai ke agar bhanja Sahib-e-Nisaab nahi hai to aap zakaat ki raqam ka apne bhanje ko malik banayen phir woh khud is maal se apne ikhrajaat ada kare. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
4Qunot-e-nazala
Q)Salam, i want to know about recitation of qunot-e-nazala,how long hazrat muhammad s.a.a.w recites it, and how long we can recites,what is sunnat time to recite. jazakallah
A)The prophet of Allah (Sallahu Alaihi Wasallam) did not used to recite Qunoot-e-Nazla for long. You are also requested to recite it short, caring for the Muqtadi that they must not feel uncomfortable. The Prophet of Allah (Sallahu Alaihi Wasallam) used to recite in Fajr Salat whenever any trouble or mischief came upon Muslim community, and he used to keep it short. (Muslim: 1546) Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
5Perfume
Q)Kya farmate hain Ulma e karam perfume ke istemal ke baare me?
A)Perfume me jo Alcohol hota hai woh mahreen ke research and information ke mutabiq nasha-awar nahi hota hai, is liye na paak nahi hota hai. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
6Ladies Driving
Q)Aurton ke car ya scooty driving ka sharii kya nazarya hai?
A)Aurat ko scooter wa car chalane ke bare me shariyat ka nuqta-nazar yeh hai ke mukammal parda ke sath woh yeh kaam kar sakti hai , jabke zaroorat ho, kyunki aurat ka nafqa matlab khane or kamane ki zimmedari uske shauhar ke zimme hai. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
7Masjid mein Sona
Q)Baaz log Tablig waalo pe aitraz krte hain ke ye log Masajid me sote hain, unnhe kya daleel di jae hadees aur sahaba ke aml se?
A)Masjid me jamaat walon ke sone par eteraaz nahi hona chahiye kyunki shariat ne musafiron ke masjid me qayaam par koi rukawat nahi lagayi aur waise bhi agar koi masjid me Etikaaf ki niyat se soye to uski ijazat Hadith se maloom hoti hai. Bukhari me Hazrat Ibn Umar (Rdh) se marwi hai ki woh masjid-e-nabawi me sote the halanke woh jawaan the. (Bukhari:3738) Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
8Name of House
Q)By the grace of Allah,we build a house.We need a good name for it.Guidance fro entering in the new house according to shariat. JazakAllah
A)You can name the house "Al-Mamoor", "Al-Mustaqar". Enter the house with you right foot first and recite this dua: "Allahumma Inni As'aluka Khair al-muliji wa khair al-makhriji Bismillahi walajna w bismillahi kharajna wa ala allahi rab bana tawak-kalna" (AbuDawood:5098) Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
9Relationship
Q)After having death (intekaal) of a family member (eg mother). Shall we refrain from having sexual relationship with wife. If yes, for how many days
A)Talaq waqe ho gayi. Shauhar agar keh raha hai to uska etbaar kiya jayega.Shauhar ne talaaq di hai to ye bhi maloom karna zaroori hai ki kitni talaaq di hai. Agar 1-2 talaqen di hain to ruju (wapsi) kar sakta hai.3 talaaqon ke baad ruju nahi hai. Bache ab is umar me baap ke paas hi rahenge. Is khatoon ko kisi aur mard se iddat guzaarne ke baad nikah karne ka hukm hai. 3 talaaq agar nahi hui hai to samjha bujha kar wapsi ki surat nikalni chahiye. Kyunki is khatoon ka koi nahi hai, is liye iski kifaalat uske bhaiyon par hai. Agar bhai na mane to dusre unko mukallaf karen, warna gunah me sab shamil honge.If someone dies in your relationship, there is no harm in having sexual relationship with wife that night. (bukhari:5470) However, due to relationship and love with the demised, specially mother, that she should be cared in the way that one should not indulge in such act on her demise, that’s the reason why in hadith, it is permitted to mourn for the dead for three days. (bukhari:128) but, however, shariah has not ordered on doing so. Wassalam abul hasan ali nadwi center
10Surrogacy
Q)Assalamualaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu. Is surrogacy allowed in islam? And what if he denies the child after birth? Who takes its responsibility?
A)Surrogacy is allowed only when the sexual excretions are of husband and wife, because the prophet of allah (sallalahu aliahi wasallam) has said: “it is not permissible for those who believe in allah and the day of judgement to irrigate with one’s water others harvest”. (abudawood:2158) that’s why donation of sperm or ovary is not allowed in islam. Wassalam abul hasan ali nadwi center
11Doctor in mosque
Q)My question is that can a mbbs doctor treat his patients in a masjid for free,and the timings would'nt clash with the namaz timings,there will be a seperate room for him,but it is the masjid premisis but has a different entrance.please reply.
A)It is permissible to do the doctor’s procedure in masjid, but it is better to ask the permission of the management of the masjid, and at the time of seeing patients, it should be taken care of that due to the patients’ behavior, nothing in the masjid gets affected and soil or dirty the majid. wassalam abul hasan ali nadwi center
12Namaz
Q)Assalam alaikum.mera sawal hai k subha ki sunnat namaz k baad ad ki ja sakti hai? Aur aksar log iqamat hone k baad b sunnat parte hai kya yeh sahih hai?
A)Ahnaaf ke nazdeek fajir namaz ke farz ke baad sunnat nahi padh sakte, magar suraj nikal jane aur makrooh waqt guzar jane ke baad fajir ki sunnat padh sakte hain (tirmizi:423), ahnaaf ke nazdeek fajir ki namaz khadi ho jane ke baad bhi sunnat padh sakte hain. (durul mukhtaar:510/2) mukhtalif sahabah se manqool hai ke unhon ne fajir ki iqamat hone ke baad bhi fajir ki sunnat ada farmayi. Lekin is baat ka khayaal rah eke jamaat khadi hone ke baad sunnat jamaat se door reh kar padhe, aur isi waqt padhe jab sunnat padhne ke baad bhi jamaat mil jane ka yaqeen ho. wassalam abul hasan ali nadwi center
13laham (meat)
Q)Assalamu alykum. Hazrat mujhe yeh pata karna hai ki har halaal jaanwar me woh 7 chezein kaun si hoti hain jinko khana mana hai
A)Yeh sat cheezen hain: (1) behne wala khoon, (2) penis, (3) fota (testicles), (4) maq’ad (anus), (5)ghudood, (6)urinary bladder, (7) pitta (pancreas). (baihaqi kubra:20192) wassalam abul hasan ali nadwi center
1 2 3 4 5 6 7 8

Is surrogacy allowed in islam? Islamic Question