1Isha kay nemaz ka time
Q)Isha ki nemaz ka time maghreb kay nemaz kay ketnay time baad shoro hota hay.
A)Maghrib aur Isha ke darmiyaan ka waqt mukhtalif mulkon me mukhtalif hota hai, kahin kam kahin ziyada, lekin bunyadi baat yeh hai ke suraj guroob hone ke baad jab tak shafaq yani roshni baqi hai maghrib ka waqt hai aur jab roshni bilkul khatam ho jaye to isha ka waqt shuru ho jata hai. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
2LIC & OTHER POLICIES
Q)WHAT SHARIAT SAYS REGARDING TO OBTAIN LIC & OTHER POLICIES ,WHICH IS COMPULSORY FOR GOVERNMENT EMPLOYEES; IS IT PERMITTED BY ISLAM?
A)If a person is in a situation that without undergoing LIC he is not safe or he has been pressurised by the government, then he is permitted to do so.
3PROPERTY RIGHT
Q)If Brother has not given the sharing of Property to Sisters according to Shariat,then What Holy Quran & Hadith said regarding this ?plz guide in this Matter.
A)Share of property of the sisters is clearly stated in the Holy Quran, if someone does against he is a trangressor and feeds on haraam
4Namaz me hatho ka bandhna
Q)Assalam alaikum, mera sawal ye hai ke kya sahih ahadees se namaz me naaf ke niche hatho ka bandna (jo ki hamare ahnaf ke yahan hai ) sabit hai, agar hai to plz refernce ke sath aur hadees ki sehat ke sath de taaki salfiyo ko btaya ja ske?
A)Naaf ke neeche hath bandhna: Hadith (1)Hazrat Alqama bin Wael bin Hajar apne walid se riwayat karte hain, farmaya: main ne Nabi Kareem (S.A.W.) ko dekha ke Aap ne Daen hath (Right Hand) ko baen hath (Left Hand) par naaf ke neeche rakha. (Ibne Abi Sheba: Kitabus Salaat: 3959) (2) Hazrat Ali (R) ne farmaya: Sunnat yeh hai ki hatheli ko hatheli par rakha jaye aur dono ko naaf ke neeche rakha jaye. (AbuDawood: Kitabus Salaat: 756, Musnad Ahmad, Darul Qutni, Baihaqi) Is ke alawa dusre sahabah wa tabaeen se bhi naaf ke neeche hath bandhna sabit hai jaise: Hazrat Abu Huraira(R), Hazrat Anas(R), Abu Mujliz(Rh), Ibraheem Nakhayee(Rh), etc. For more details please checkout the book "Maslaki Ekhtelafaat aur raahe etedaal" in our "Sayyid Ahmad Shaheed Academy" section. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
5Tasweer kashi aur anguthi
Q)Assalamualaykum v.v. anguthi kis hath me aur hath ki kis ungali me pehanni chahiye? aur kese pahenni chahiye? ungali pahanne ke waqt ungali nang andar ki tarah rahe ya bahir ki tarah?| marad ke liye shariat ki roshni me sharai haqiqat batae. purani tasweer ho to uski sharai haqiqat kya he? purani tasweer ko kese nabud kare?| jala ke ya dafan karke ya kisi aur tariqe se?
A)(1) Allah ke Rasool (S.A.W.) se dayen (right) bayen (left) dono hath me angoothi pehenna sabit hai, magar dayen hath men pehenne ki riwayaat kasrat se maujood hain. (Shamael Tirmizi) Angoothi sirf choti ungli me pehenna sabit hai. (AbuDawood:4229) Pehenne ke waqt iska nag hatheli ki taraf hona chahiye. (AbuDawood:3237) Angoothi Chandi ki honi chahiye, aur iska wazan "ek Misqaal" yani "4 masha aur 4 ratti" ho. (AbuDawood:4223) Allah ke Rasool (S.A.W.) ki angoothi na nagina bhi aam taur par chandi hi ka hota tha (Shamael Tirmizi: 84), kisi khaas pathar ka hona bhi sabit hai (Shamael Tirmizi), Naqsh hona bhi sabit hai (Radul Mukhtaar:52). Bila zaroorat mardon ke liye angoothi ka tark karna AFZAL hai, aur zeenat ke liye pehenna MAKROOH hai. (Radul Mukhtaar 9/517) (2) Tasweer purani ho ya nayee bila zaroorat rakhna ya ghar me lagana HARAAM hai. Hazrat Abu Talha se marwi hai ko Aap (S.A.W.) ne irshaad farmaya ke jis ghar me kutta ho ya tasweer ho isme rehmat ke farishte dakhil nahi hote. (Bukhari: 5949, Muslim: 5950) Is liye is se ehteraaz karna chahiye. Aur agar aap ke paas koi purani tasweer rkhai ho to usko zaye kar den. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
6Nind sone ka sahi waqt
Q)Kiya magrib ki namaz ke bad nind sona mana hai isse barkat kam hoti hai.
A)Allah ke Rasool (S.A.W.) Isha se pehle (Maghrib ke baad) sone ko na-pasand karte the (Bukhari:568, Tirmizi:168). Is liye Maghrib ke baad nahi sona chahiye. Aur jahan tak barkat kam hone ki baat hai to is ka suboot kahin nahi mil saka. Maghrib baad sone se is liye mana kiya gaya hai ke sone se Isha ki namaz ke chhotne ka khatra rehta hai. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center \
7Qunoot
Q)What is the ruling on qunoot?
A)It is compulsory to recite a dua in the third rakaat of Vitr prayer of Isha, however, Dua-e-Qunoot is proven to be recited by the Prophet of Allah (S.A.W.). Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
8KBC KA PAISA JAYEZ YA NA JAYEZ?
Q)KBC (KAON BANEGA KAROR PATI) GAME SHOW SE HASIL SHUDAH RAQUAM KA LENA OR ISTEMAL KARNA JAEZ HAI YA NAHIN? FOR MOR INFORMATION ABOUT \'\'KBC\'\' CLICK THIS LINK. http://en.wikipedia.org/wiki/Kaun_Banega_Crorepati
A)You can name the house "Al-Mamoor", "Al-Mustaqar". Enter the house with you right foot first and recite this dua: "Allahumma Inni As'aluka Khair al-muliji wa khair al-makhriji Bismillahi walajna w bismillahi kharajna wa ala allahi rab bana tawak-kalna" (AbuDawood:5098) Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center Is tarah ke programon ke andar jis men ke har sawaal par raqam muqarrar (fix) hoti hai, usi waqt jaez hai jab ke us ke andar shamil hone ke liye kisi bhi tarah ki koi fees, etc. na padti ho, agar thodi bhi fees padti hai to yeh na jaez hai, chahe woh fees baqaeda alag se len ya SMS se kati jati ho, dono tarah yeh gua (gambling) hoga, aur gua (gambling) ko Quran me haraam qarar diya gaya hai. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
9Salat
Q)Assalamualaikum recently i am doing a d2d sells job for that i have to go in different suburb phisically.the problem is that during that period asar and magrib prayer time is appeared but in that time i am in field like there is no masjid .so what i have to do i can pray my prayer when i will come back?is there any option?
A)Offering the prayers in its timing is better and recommended by the Shariah, as stated in the Holy Qur`an in Surah Nisa verse: 103. In this situation, mosque is not compulsory. If mosque is not present, and you get a place to offer it on the way, it should be done that way, because without any compulsions stated in the Shariah, it is not permissible to pass away the salat time without praying. As stated in Radul Mukhtaar: 2/518.
10Namaz
Q)Assalamualaykum maulana zarwali khan db ke bayan me suna k barelviyo k piche padhi hui sab namaze dohrane padegi me jab jama'at me gaya tha to gasht k liye waha k maqami sathiyo ne magrib barelvi k piche padhwai thi to wo namaz muje dohrani padegi? faqt wassalam
A)Bid`ati (Barelvi) ke peeche namaz padhna makrooh hai, jab ke bid`ati kufriya `amaal wa af`aal ka murtakib na ho, aur kufriya aqaed na rakhta ho, aur faraez ka munkir na ho; Aur agar in me se koi bhi usme payee jati ho to uske peeche namaz nahi hogi, aur uske peeche padhi gayee namaz bhi duhrani hogi. (Radul Mukhtaar: 2/298)
11Marriage
Q)Is the process of Nikah is possible without 2 witness and if the girl decides his meher amount and boy read his nikha as per sunnat with both wish of boy and girl they are agree.
A)(1)Nikah cannot be conducted without two witnesses. Because it is stated in the Holy Quran, Surah Baqarah, Verse No. 282 "and get two witnesses, out of your own men, and if there are not two men, then a man and two women". (2)Girl can fix her meher because its her rights. (3)Boy can conduct his nikah, it is permissible under shariah, but if a girl marries a boy which may not be from her kith and kin may result in her family's disagreement. Perhaps, the noble people's tradition have always been that the elders fix the marriage of their youngsters, especially girls. Thus the better tradition is the nobles one.
12Books written by Moulana abul hasan ali nadvi.
Q)Assalamualaikum. Please send the details where i can get all the books written by Moulana Abul Hasan Ali Nadvi sahab in Urdu & English through post. Jazakallah
A)All books written by Hazrat Maulana Abul Hasan Ali Nadwi (Rh) is available here. Which ever you want, will be sent to you as you tell us your complete postal address and the names of the books, with 50% discount. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
1 2 3 4 5 6 7 8

WHAT SHARIAT SAYS REGARDING TO OBTAIN LIC POLICIES