1Zaqat
Q)Ek sawal ye bhi hy ki KYA UDHAAR KE PAISE SE ZAQAT ADA KI JA SAKTI HY? for ex:- jaise kisi ka paisa kahin atka hua hy aur zaqat dene k liye us waqt cash nahi hy,to kya wo udhar k paise se zaqat ada kar sakta hy? aur udhar ada karne ki poori niyat bhi hy.
A)Agar zakaat wajib hone ke baad qarz le kar ada karna hai to, phir qarz ke raqam se zakaat ada ki ja sakti hai. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
2Zaqat
Q)Salam alaikum mei puchna chah raha ki kya zaqat sirf ramzan k month mei hi deni chahiye? ya saal bhar mei kabhi bhi niyat kar k di ja sakti hy? for eg:- mere uper 30,000 rs zaqat banti hy to kya ramzan se pahle mei niyat kar k itni hi raqam 2 ya 3 zaroorat-mando ko de sakta hoon? 2:- kya zaqat ka paisa kisi aise insan ko diya ja sakta hy jo iska istemal apne bachche ko deeni taaleem dene mei lagayega? for ex:- wo bachcha aalim ki degree le raha hy to kya zaqat aise bachche ko di ja sakti hy?? wo ghareeb hy lekin aage padh nahi paa raha to usko wo zaqat ka pasia diya ja sakta hy? reply me as soon as early possible
A)Saalgirah Gairon ka tareeqa hai, isko manana, iski mubarakbaad dena aur iski dawat karna, khana aur khilana sab mana hai. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center(1) Zakaat ke liye Ramadhan ki koi qaid nahi, balke saal poora hote hi Zakaat Farz ho jati hai, aur farz ki Adaegi me jaldi karna chahiye. (2) Agar woh talib-e-ilm zakaat ka mustahiq hai to use zakaat ki raqam di ja sakti hai. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
3Miscellaneous Ques.
Q)Q1. Sadqe(jo zakaat l alawa) k maal se saiyed ko Umra karna jayez hai? aur agar kar liya hai to maal wapas karna hoga kya? Aur agar koi Umra karwata hai to wo batayega kyun ki wo zakaat ka paisa hai! Q2. Agar kisi mannat k puri honey par koi har mahine kuch nafil roza rakhta ho , lekin us par farz roza kaza baaki ho to kya wo kaza usse pura ho jayega. Ya uske liye alag se roza rakhna padega? Ya kaza farz roza har mahine rakhney se nafil apney aap ada ho jayegi? Q3.Main engineering college main admission ka kam shuru karna chahta hun. Jis ka admission entrance test ke jariye nahi hota hai uska management quota se hota hai. Aise student mere pass aate hain, main uske intermediate ke marks ke behalf pe bahut sare college main bat karta hun. jahan ho sakta hai wahan student ko lejake bat karwate hain. College usse wahi charge karti hai jitna uska fees hota hai. Aur ye sab kam ke liye hamain ak fix amount money deta hai. Ye paisa hamare liye kaisa hai? Q4. Agar kisi ristedaar ki aamdani ka kuch hissa haram paise se hota hai to kya uski shaadi me jana jayez hai(Ghar me wo aur uske walid kamaney waley hai.)
A)(1) sayyid ke liye kisi bhy qism ka Sadqa JAYEZ nahy hai, agar kisi ne sayyid ko Sadqe ki Raqam se Umra karaya to uski taraf se sadqe ki adayegi nhay hogy, use dobara sadqa karna hoga. (2) Dono ka roza alag alag rakhna zaroori hai, koi roza kisi dusre roze ka badal nahi hoga. (3)Is tarah ki raqam lena jaez hai, is liye ke yeh us ki mehnat aur targheeb ki ujrat hai, jiske na jaez hone ki koi wajah nahi hai. Raqam chahe student de ya college de, lena jaez hai. (4)Kisi ki aamadni ka ghalib hissa haraam hai to dawat me shirkat durust nahi hai, aur agar ghalib hissa halaal hai to dawat me shirkat jaez hai. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
4Ghair Musalmano ko Dawat-e-Imaan
Q)Kya Maulana Ali Mian Nadwi Sb Ghair Musalmano me Dawat dene ke liye Kabhi Jamaat ke shakal me ya afrad bhejte thhe? Ya phir aapne talba ko ya Mureedain ko iss kaam ke liye bhejte thhe? Mustakil aur munazzam koi tehrek iss kaam ke silsie me unhone koi tarteeb qayam kiye thhe? Ya aapne Nasihat me isski khwas targheb dete thhe? Ya phir Markaz nizamuddin ki tarteeb ki hi taeed farmate rahe? Maulana Saad aur Maulana Zubair sab Hazrat Ali Mian (R) ne kis saal me Khilafat diye thhe?
A)Maulana Ali Miyan (Rh) ko hamesha is ki fikr rahi ke dawat-e-Haq har ek tak pahunche. Nau-jawani me woh apne bade bhai ke Eima (Marzi) par isi maqsad se mumbai tashreef legaye the, aur Dr. Ambedkar se mile the. Albatta inhon ne iske liye koi tanzeem, jamaat qaem nahi ki aur woh ba-qaeda iske liye kisi tehreek jamaat ke qayaam ko shaed ba-az khatraat ka pesh khema samajhte the, lekin is kaam ko behad zaroori aur mufeed samjhte the aur kaam karne walon ki poori pabandi aur sarparasti farmate the. iske sath sath Hazrat Maulana (Rh) shuru me Tableeghi kaam ki bhi pabandi karte the aur Akheer me khaas taur par poori sarparasti farmayee. Maulana Zubair Sb. aur Maulana Saad Sb. ko Hazrat Maulana ne 1999 me Khilafat di. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
5Shariat
Q)What islam says regarding to keep the Fish Aquarium in Home & offices.? Plz guide in this matter.
A)If the fishes are managed properly that they don't have problem of water, food and oxygen; in these circumstances, it is permissible. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
6Shariat
Q)What Shariat says using of Hot Solar water?is it permited by Hadith/
A)Offering wadhu and bathing in the solar water is Makrooh. (Darul Qutni: Babul ma`al maskhan: Hadith No. 2) Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
7Employer/company’s Health Insurance.
Q)Assalamu alaikum Har corporate Company may kam ku jamne se company sab ku Health Insurance dati hain. Wo sabhi employees ku yah laziman dete hain, har mah hamari tankha se premium k pise kat lete hain. Yah health insurance police sirf in-patient service cover kar ti hai. Agar hum hospital me rahker ilaj karain aur is k bill insurance company ku bhejain to insurance company bill ka takriban 80% pisa deti hai. Kiya is Health Insurance se fida utha sak te hai? Kiya hum apne hospital ke bill insurance company ku dekar pisa lesakte hai? Ya koi dusri surat hamare har mah kate hu’e paise ju insurance k premium k leye kate hai unki usuli ka?
A)Medical Insurance normal conditions me jaez nahi hai. Agar majboori ki wajah se medical insurance lazmi ho to is ki gunjaish hai, lekin jamakardah raqam se ziyada jo ilaaj me kharch ho, sahib-e-istetaat ke liye is ke brabar bila niyatSawab sadqa karna wajib hai, is tarah Hospital ka bill insurance company ko de kar raqam vosool kar sakte hain, aur jama-kardah raqam se ziyada bina sawab ki nayat ke sadqa karden. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
8Other
Q)Assalamu alaikum Abru k bal (eye brow) k bare may auraton aur mardon ku kiya hokum hai? Abru k bal agar kuch bade hogain ho to kat sakte hain ya na hi? Dono abru k bich k bal yani nak k upper payshani per dono abru k bich k bal kat sakte hain ya na hi? Mardo ku kan per jo bal ugte hain kiya woh kat sakte hain?
A)Abru ke bare me mard aur aurat barabar hain, magar mard agar in balon ko kat ta hai to us ke liye ziyada karahat ki baat hai, sirf faishon ki wajah se natural banawat ko badalna durust nahi hai. "Allah ke Rasool (S.A.W.) ne baal noshne aur nuchwane waliyon par lanat farmayee hai". (Nasai:5110) Agar abru bahut ziyada phaile hue hon to unko durust karke aam halaat ke mutabiq karna durust hai, agar naak ke baal ug jaen aur woh dikhne lagen to unko katne ki ijazat hai aur mardon ke kaan ke upar jo baal ugte hain unka katna durust hai. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
9Ghar Waley k Huqooq, Video Chating
Q)Assalam U Alaikum, Q1. Meri Salary qareeb 35000 rs hai. Hum 5 brothers aur ek sister hai. Khala bhi hain(khalu nahi hai), aur jo ristedaar gareeb hai wo saiyed hai. kiska kitna huqooq hai(sadka ,zakaat k alawa). Q2.Walidaa ko kitna dena hoga, aur Walid sahab ko kitna, kyunki aur bhi dini takaazey hai..Ma baap ka huqooq zaya na ho jaye. Allah Tala ka bhi bandey ke Maal me haq hai. Zara in Maamlaat ko wazey farmaye. Q2.Sadqe k maal se saiyed ko Umra karna jayez hai? aur agar kar liya hai to maal wapas karna hoga kya? Q3. Gmail par video chat karna jayez hai na jayez hai. fatwa aur taqwa kya hai.
A)Asalamualaikum wa Rahmatullah wa Barkatuhu Maulana Bilal Abdul Hai Hasani Nadwi is the current director of the center and Dare Arafat. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center (1) Shariat ka usool jai ke jab insaan khud zinda ho to woh apni property ka mukammal malik aur mukhtaar hai, woh jitna chahe aur jisko chahe Heba (Gift) kar sakta hai. Magar koi aisa tareeqa ikhtiyaar na kiya jaye jiski wajah se kisi ka haq mara jaye. Bachon aur biwi ka nafqa (daily expenses) wajib hain (Surah Baqarah:233). Isi tarah agar walidain aur chote bhai behen ke paas maal nahi hai aur woh kamane par bhi qadir nahi hain, to unka kharch (expenses) bhi unke kafeel (caretaker) ke zimme hai. (Sunan Nasai:2532). In sab par kharch karne ke baad agar maal bachta hai to Gareeb, miskeen ya dusri jaez jaghon me kharch karna chahiye. (2) Barai Karam is baat ki wazahat kar den ke Sadqe se muraad kya hai, Kya isse muraad Zakaat hai ya koi or Sadqa? (3) Kyunki Video par tasweer bhi ajati hai, isliye aise shakhs se baat durust hai jisko dekhna durust hai, mard ka kisi na-mahram aurat se baat karna ya aurat ka kisi na-mahram mard se baat karna durust nahi hai. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
10Interest Money
Q)Kiya interest ka pisa apne garib musalman ristedaron ku desakte hain?
A)Interest ka paisa apne Gharib Musalman Rishtedaron ko de sakte hain, lekin yah khyal rahe ki INTEREST ka Pasia ek GHALAZAT hai isliye aisy gandi cheez men musalmano ko Mulawwis karna bahtar nahy hai, iske Badal ke Taur par Allah Taala ne ZAKAT ka nizaam rakha hai, isliye bahtar yah hai ki unko ZAKAT ki raqam men se den, aur sab se achi baat to yah hai ki apne rishtedaron ki apni gadhi kamaye se MADAD ki jaaye. Wassalam Abul Hasan Ali Nadwi Center
11Fatwa
Q)What is qualification of a person to issue Fatwa?
A)That person is entitled to issue fatwas whose beliefs and creed is correct, he is master in Shariah, bears modern knowledge as per the needs, keeps a close eye on the changes of the world and environment and un-biased on religious aspects.
12Shariat
Q)What Shariah says regarding Beard? Is it complusion?
A)Beard is one of the signs and symbols of Islam, and it is Wajib (compulsory) to grow beard. (Bukhari:5893)
1 2 3 4 5 6 7 8

Zakaat ke masaail | Zakat ke masail